Saiyara tu to Badla he nahi hai...
Sirf Pyar se kch ni hota...
Hota hai to sirf paise se...
Paise se aaj k dor me pyar bhe khareed skte...
Pyar sirf ek Jhoot hai...
Dhoka hai...
Yahan paise pe log bik jaaty...
Paise k peechy log khud ko bech dete...
Ye wo dunia nahi jo maine smjha tha hai...
Ye wo jahan nahi sachai ka...
Ye wo dunia nahi Ahsas ki...
Ye dunia hai dhokay or Bikne walo ki...
Ye wo dunia hai chor jaany walo ki...
Yahan Marham se zeada log dard dete...
Zakhmo pe namaz chirakte...
Jhootay khwabo ki Dunia hai...
Behtar hai k Insan Rab ko Mana le...
Rab or Uska Rasool (S.A) he sachay hain bs...
Baaki sab jhoot...
Dil aise torte hain log jaise glass torte hain....
Ahsas aise marta hai logo me jaise chae me makhi...
Log hme apni zindagi se aise nikal dete jaise makhan se baal...
Inko kia pata jazbaat kia hotay...
Inko kia pata dil ki dunia me jab koi bas jae...
Wo ek alag jahan hota hai...
Ek aisa jahan jidhar sirf wo hota hai...
Is Jahan se Zeada pyara hai wo Jahan...
Uski Muskurahat ek jahan...
Uska Hasna ek Jahan...
Uska rona ek Jahan...
Uska Ana ek Jahan...
Uski awaz ek jahan...
Uska Chehra ko dekh kr banta hai chalti hai hwa...
Ati hai Bahar...
Wo har jaga dikhta hai mjhe...
per wo apna nahi hai...
Kisi or ka hai...
Wo mera sapna tha mgr apna nahi hai...
Wo Mera apna na sahi...
Mera adhoora sapna zror hai...
Jeena parta hai...
Dard me...
Tanhai me...
Raato k andheroon me...
Tu bs khush rehna...
Dunia ki Mojoon me...
Wakt k dhokay me...
Per main na honga tere afsany me...
 
No comments:
Post a Comment